Posts

Welcome to State Life Insurance Guide!

Image
STATE LIFE INSURANCE CORPORATION OF PAKISTAN Assalam-o-Alaikum dosto! Humare is blog par aap sab ko khush-aamdeed (welcome). Aj kal ke daor mein jahan mehngai barh rahi hai, wahan apne aur apni family ke future ko secure karna sab se bari zaroorat ban chuka hai. Jab baat aati hai safe investment aur life insurance ki, to Pakistan mein sab se pehla aur bhrose-mand naam State Life Insurance Corporation of Pakistan ka aata hai. Lekin hum ne notice kiya hai ke internet par State Life ke baare mein jitni bhi maloomat hain, woh ya to bohot mushkil English mein hain ya phir bohot heavy official Urdu mein, jisay aik aam insan aasan se nahi samajh pata. Isi liye hum ne yeh blog shuru kiya hai! Humara Maqsad Kya Hai? Is blog ka maqsad bohot simple hai: State Life Insurance ki har choti bari maloomat ko aap tak bilkul aasan aur Roman Urdu lafzon mein ponchana. Jaise koi dost aap ko aasan alfaaz mein samjhata hai, bilkul waise hi! Hum is blog par aane wale dino mein yeh sab discuss karenge: Stat...